Tuesday, November 27, 2007

Woh Dagar

My first poem (don't know if it is good enough to be called a poem :))

Jindagi ke har mod pe ruk ke kahin
Jab aankhen meri dhundti hain teri halki si parchayi,
To uzli si ek raah nazar aati hai
Kahin woh mere jahan mein basa tere khayalon ka khali dagar to nahin!!!

Woh dagar jisse hum kabhi chod aaye the
Is jamane mein apni pehchan dhundna tha maqsad apna,
Us dagar ki gilli ret pe padchinhh aaj bhi hain
Par zindagi ki qitab ke panno pe humari saqsiyat ka ek akhar bhi nahin!!!


Kabhi ruswa hoke tum se kaha tha humnein
Ki tere choukhat pe fir naa rakhenge qadam,
Par Aj zamane se hare hue ek musafir ka
Us choukhat ke siwa koi sahara, koi kinara, koi aur manzil bhi nahin !!!

2 comments:

Bivas said...

ahem... :-)

Anonymous said...

Umda...dosent seem 2 b ur first one.........Maheema