Sunday, December 02, 2007

Manjilen aur bhi hain

Ruke hue har saans ko chalna sikhaya tha is dil ne
Har ek saans mein tera naam firoya tha is dil ne
Apni ummedon ko thokar maratha maine tere pyar mein
Kyun ke mujh pagle ko deewana banaya tha is dil ne!!!


Bheegi hui raat mein, halki si barsaat mein
Haathon mein tere tha haath mera
Chal rahe the hum sapnon ke sehar mein
Maan ki umango ka na tha koi thikana mera!!!


Woh bhi ek raat thi, yeh bhi ek raat hai
Tab zindagi mehki hui thi, aaj tanhayi ka hi saath hai
Khule darichon se sard hawa ake ruh ko pighla rahi hain
Beimaan mausam mein tumhari bewafayi hi to bas mere paas hai!!!


Par jeene ki kashish aaj bhi jinda hai mere maan mein
Aasmaan chune ke khwab aaj bhi buland hai
Is safar mein tera saath na raha to kya
Manjilen tay karne ko mere pair aaj bhi taiyar hain!!!

2 comments:

Debi Prasad said...

Well the lady is a close friend and according to her the comment was not posted by her. so i guess i have the right to control my own blog. if anyone has any problem then they can ignore it.

Anonymous said...
This comment has been removed by a blog administrator.